Tazza Tea
in Travel Support
Sala, OM naye bandon ko promotion de raha hai aur purane bandon ko abhi bhi calls lene bol raha hai 🙃 Ho kya raha hai?
📍 Filhaal Kolkata mein hai· aapke shehar mein jaldi 🚀
Chai ready hai, toh spill karo. Office walon ke liye 100% gumnaam: tumhara baap bhi nahi pehchanega.
🎉 Kolkata walon ke liye LIFETIME FREEInvite mila hai? Account banao · Office email nahi hai? ID card se join karo
Tazza Tea
in Travel Support
Sala, OM naye bandon ko promotion de raha hai aur purane bandon ko abhi bhi calls lene bol raha hai 🙃 Ho kya raha hai?
Office email pe OTP, ya ID card / offer letter se. Email hum scramble (hash) karke rakhte hain, kabhi dikhate nahi.
Apni company, Kolkata, phir apna floor (process): Expedia, Sainsbury's, jo bhi. Har floor pe tumhara alag gumnaam naam.
Har gossip apna group chat ban jaata hai. “Sahi baat” ya “Jhooth hai” bolo, aur neeche discuss karo.
Naam mat likho, baat likho.
Na asli naam, na office wala nickname. Boss sab samajhta hai 👀 Saari baatein khul ke karo! Nahi toh 4 log kya kahenge?
Poore rules padhoAKELE CHAI ACHHI NAHI LAGTI ☕
Jitne zyada log tumhare process se, utni garam chai. Naye floor ko 7 din mein 10 log chahiye, toh apni team ko abhi bhejo. Kolkata walon ke liye lifetime free!
Link jayega, tumhara naam nahi. Hum track nahi karte kisne kisko bulaya.
Purani, bekaar cheezein apne aap saaf ho jaati hain, taaki floor fresh rahe aur kam data jama ho.
30 din
koi login nahi account hat jayega
10 din
gossip pe koi baat nahi gossip hat jayegi
7 din
floor pe 10 log nahi floor band ho jayega
Hati hui cheezein 30 din tak chhupi rehti hain (complaint ya court order ke liye), phir hamesha ke liye delete.